Rehana saheba,
aadaab, dastak aur kehkashaaN ke ajra' par mubaarak baad qabool kijiye. ham koshish kar rehe heN ke hamaarii takhleeqaat ma'yaari ho jaaeN phhir ham bhi apnaa likHaa aapko bhejeNge.
moHtaram janab-e-SJK Sir,
Assalam-o-alaikum,
Kyaa baat hai sir aap kee 
agar aap is intizaar meN heN keh aap kee takhleeqaat ma'yaari ho jaaeN tu phhir aap bhaijheN... is kaa matlab hai keh hameN tu bhaijhne ke liYe sochnaa bhi bekaar hai. 
Sir aisee baat keh kar kam az kam mujh jaise qaarii ko aazurdah nah kareN keh mujhe aap kee teHeer ka KhaS taur par intizaar rehtaa hai.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:meN aapka mashkoor hooN aur aapke comments hamesha baar baar paRhtaa hooN. yaqeen kijiye aapke comments paRh kar itni hosla afzaaee hoti hai ke mazeed likHne kaa mood bann jaataa hai. udhar Sadaf saheba heN ke hameN writer to kujaa adbi taalib e'lm bhi tasleem nehiN kartiN. taaham meN abhi tak " basti-e shaaeraaN " par aapke comments kaa intezaar kar rahaa hooN jo mehfil-e sukhan par lagaa hai. agar fursat mille tou zaroor paRhye gaa. insha a'nqreeb " shoq-e avaargi " likHooNgaa, bas mood bann rahaa hai.